|
* Apni taswir ko ankho'n se lagata kya hai *
Apni taswir ko ankho'n se lagata kya hai,
ik nazar meri taraf dekh, tera jata kya hai,
Meri rusawai may tu bhi hai barabar ka sharik,
mere qisse mere yaro'n ko sunata kya hai,
Pas rahakar bhi na pahachan saka tu mujhako,
dur se dekh kar ab hath hilata kya hai,
Safar e shauq may kyo'n kanpate hai'n panw tere,
dur se dekh kar ab hath uthata kya hai,
Umr bhar apane gireban se ulajhane wale,
tu mujhe mere saye se darata kya hai,
Mar gaye pyas ke mare to utha abr e karam ,
bujh gai bazm to ab shama jalata kya hai,,
Main tera kuch bhi nahi hun, magar itana to bata
dekh kar mujhako tere zehan may ata kya hai.
|
|