|
* Chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane *
Chaa.Ndanii raat me.n chaa.Nd ke saamane,
ruKh se pardaa haTaanaa Ghazab ho gayaa,
chaa.Ndanii chhup ga_ii chaa.Nd sharmaa gayaa,
aap kaa muskuraanaa Ghazab ho gayaa,
dil kii dha.Dakan merii tez hone lagii,
raat aa.Nkho.n me.n kaaNTe.n chubhone lagii,
vasl kii raat me.n baat hii baat me.n,
yuu.N teraa ruuTh jaanaa Ghazab ho gayaa,
jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii ,
raat apanii to karavaT badalate kaTii ,
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Ghazab ho gayaa
apane hisse me.n tuufaa.N kii taqadiir thii
zindagii apanii maujo.n kii zanjiir thii,
Duub jaane kaa apane hame.n Gham na thaa
us kaa saahil pe aanaa Ghazab ho gayaa.
|
|