* Zinda'n may bhi khinche rahe dar o rasa'n se ham *
Zinda'n may bhi khinche rahe dar o rasa'n se ham
Rahate hain sarkashon may bahut bankhpan se ham
Gul dosti ne khar ka khugar bana diya
Misl e nasim shad hain saare chaman se ham
Agyar mahar o mah se age nikal gaye
Ulajhe huye hain subah ki pahali kiran se ham
Past o buland e dahar se asan guzar gaye
Chute na qaid e zulf e shikan dar shikan se ham
Nikale jo gamkade se to surat khizan ki thi
Aye bahar ban ke teri anjuman se ham
Ye lutf kam nahi hai gam e ashiqi tera |