donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Siraj Aurangabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khabar e tahayyur e ishq sun na junu'n raha na pari rahi, *
Khabar e tahayyur e ishq sun na junu'n raha na pari rahi, 
Na to tu raha na to mai'n raha, jo rahi so bekhabari rahi, 
Shah e bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas e barahanagi, 
Na Khirad ki bakhiyagari rahi na junun ki pardadari rahi, 
Chali simt e Ghaib se ik hawa ki chaman zahur ka jal gaya ,
Magar ek shakh e nihal e Gham jise dil kahen so hari rahi ,
Nazar e tagaful e yar ka gila kis zaban son bayan karun, 
Ki sharab e sad qadah arazu Khum e dil may thi so bhari rahi, 
Wo ajab ghari thi main jis ghari liya dars e nuskha e ishq ka, 
Ki kitab e aql ki taq may jyun dhari thi tyun hi dhari rahi. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 749