donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aisa wardaan mile jis ko woh pagal ho jaye *
Aisa wardaan mile jis ko woh pagal ho jaye
haath sone ko lagata hooN to peetal ho jaye

tanha rehna hai to tanhai mokammal ho jaye
kyoN na har shaks tasawur se bhi aojhal ho jaye

mar chukka aNkh meiN ummeed ka panchi mera
mere armanoN ki dharti bhi na daldal ho jaye

ishq nazuk ja woh jazba hai jo andar andar
kabhi chubhta bhi rahe aur kabhi makhmal ho jaye

jis ko chaho na mile, jis ko na chaho woh mile
zindagi tera moamma bhi kabhi hal ho jaye

lao meiN jiski maiN jala karta hooN din raat wahi
jab mojassam ho inn aNkhoN meiN to badal ho jaye

waqt ne itni guzarish bhi meri thukra di
aarzoo thi koi ek pal bhi mera pal ho jaye

ghar meiN yaad aate haiN wahshat ke wo din raat 'sohail'
aisa ho ab yahi kamra mera jungle ho jaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 300