* Meri aNkhoN mein sitare sa chamakta hai koi *
Meri aNkhoN mein sitare sa chamakta hai koi
shab gaye der talak mujh mein sisakta hai koi
Doob jata hai teri aNkh meiN jab chaand mera
mere andar kahiN saye sa sirakta hai koi
aasmaN taroN ka maidaaN hai na hi chaand hai geNd
tifle-nadaan sa kyuN mujh mein humakta hai koi
kyuN tumheiN bheegna barish mein bhala lagta hai
meri baat aur hai mujh mein to dahakta hai koi
ladkhadati hai naqahat se ghareebi meri
mujh ko peekar mere nashshe mein bahakta hai koi
shahr curfew meiN hai, sunsaan gali, chup haiN shajar
kaaNp jata hooN jo patta bhi khadakta hai koi
sher likhta hoon mein qismat ki siyahi se 'sohail'
aaj bhi mujh mein hamawaqt damakta hai koi
|