* Yeh gomago hai ajab kuch kaha nahiN jata *
Yeh gomago hai ajab kuch kaha nahiN jata
kahe baghair bhi lekin raha nahiN jata
naqooshe-pa se bhi aage hai manzile-maqsood
wahaN hai jana jahaN raasta nahiN jata
rihaee qaide-moani se lafz pa na sake
maiN chahta hooN bahut par kaha nahiN jata
tahas nahas kia toofaN ne iss qadar humko
dilo-dimagh se khaofe-hawa nahiN jata
ne zeene par koi ahaT na dar pe hai dastak
to kyuN sakoon se ghar mein raha nahiN jata
yeh rozo-shab ka tasalsul kahiN se TooTe to
umeedo-yaas ka yeh silsila nahiN jata
kuch aise zakhm kisi ko dikha nahiN sakte
kuch aisa dard jo bilkul saha nahiN jata
kahaN woh aarzoo likhte taweel khat ussko
yahan to phone bhi hum se kia nahiN jata
'sohail' minnateN karti hai roz tanhaee
magar humara hi zome-ana nahi jata
|