donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jayeza lene maiN nikla hi tha bahar bachkar *
Jayeza lene maiN nikla hi tha bahar bachkar
dheere se tez hawa ne kaha 'akhtar, bachkar'

saath chalne ka agar shaoq hai to aao chalo
par meri jaan zara soch samajhkar bachkar

ab huzoor aa hi gayee haiN to zara ruk jayeN
log haiN taak meiN jaye na sitamgar bachkar

sakht pehra hai dare-khwab pe armanoN ka
maiN kisi tarah chala aaya hooN andar bachkar

hum sarapa nigahe-shaoq bane baithe haiN
ab kahaN jayegi wo lazzate-manzar bachkar

jiss taraf dekhiye jalti hui aaNkhoN ki hai lao
kaise aaye who idhar moam ka paikar bachkar

tarke-dunia to hai asaan yahaN meri tarah
reh ke dikhlaye to ek din woh qalanadar bachkar

aise aalam meiN padhe kaon sune kaon 'sohail'
aafiat hai ke haiN hum jaise sukhanwar bachkar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 301