donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shehr meiN tarke-janooN ke siwa chara bhi nahiN *
Shehr meiN tarke-janooN ke siwa chara bhi nahiN
dasht jane ka ab imkaan humara bhi nahiN

chaand sooraj ke liye jane machalle kyuN the
apni qismat meiN to TooTa hua tara bhi nahiN

kis ko aayega yaqeeN shoal-sifat hum the kabhi
yuN huye khaak bacha ek sharara bhi nahiN

faida koi nazar aata nahi jeene meiN
yani mar jane meiN ab koi khisaara bhi nahiN

hai bas ek qatrae-khooN se jo hai palkoN pe meri
warna khush rang to itna yeh nazara bhi nahiN

yeh alag baat bichadna tha baharhaal magar
jane wale ko kisi ne to pukara bhi nahi

kaisi majboori hai saaye ki tarah saath hai woh
saath apna tha kabhi jis ko gawara bhi nahi

aisi tanhai ki dil Doobne lagta hai 'sohail'
aur humko kisi tinke ka sahara bhi nahi

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 293