donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sohail Ghazipuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Qadam uthne nahi'n paye qarabat gher leti hai *
Qadam uthne nahi'n paye qarabat gher leti hai
Jo sach poochho to bachcho'n ki mohabbat gher leti hai

Simatna chahte hai'n pao'n jis chadar ke goshe me'n
Usi goshe ki an dekhi zaroorat gher leti hai

Sulag uthti hai'n shakhe'n khushk patte been karte hai'n
Jaha'n perho'n ko mausam ki adawat gher leti hai

Kabhi patthar uthata hoo'n to purkhe yaad aate hai'n
Mere hatho'n ko khud meri sharafat gher leti hai

Koii kahta rahe kuchh bhi jawaban kuchh nahi'n kahta
Bas aise me'n "Sohail" aksar morawwat gher leti hai

			Editor "shairi" Quarterly, 1055/9, Dastgeer Society,
			F.B. Area, Karachi-75950 (Pakistan)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 272