|
* ShaiKh jii tho.Dii sii piikar aa_iye *
ShaiKh jii tho.Dii sii piikar aa_iye,
may hai kyaa shay phir hame.n batalaa_iye,
aap kyo.n hai.n saarii duniyaa se Khafaa,
aap bhii dushman mere ban jaa_iye
kyaa hai achchhaa kyaa buraa ba.ndaa-navaaz,
aap samajhe.n to hame.n samajhaa_iye
jaane dije aql kii baate.n janaab
dil kii suniye aur piite jaa_iye.
|
|