|
* Aaj ke daur me.n ai dost ye ma.nzar kyuu.N hai *
Aaj ke daur me.n ai dost ye ma.nzar kyuu.N hai,
zaKhm har sar pe har ik haath me.n patthar kyuu.N hai ,
jab haqiiqat hai ke har zarre me.n tuu rahataa hai,
phir zamii.n par kahii.n masjid kahii.n ma.ndir kyuu.N hai,
apanaa a.njaam to maaluum hai sab ko phir bhii ,
apanii nazaro.n me.n har insaan sika.ndar kyuu.N hai,
zindagii jiine ke qaabil hii nahii.n ab "Faakir" ,
varnaa har aa.Nkh me.n ashko.n kaa sama.ndar kyuu.N hai,
|
|