donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lagaanaa dil kisii naa-mehrbaaN se *
Lagaanaa dil kisii naa-mehrbaaN se,
zamiiN kii dostii hai aasmaaN se,
(naa-mehrbaaN : rude)
nazar aate the tum to be-zubaaN se,
ye baateN aa gayiiN tum ko kahaaN se,
nazar aaye haiN vo kuch meh’rbaaN se,
giregii ko’ii bijlii aasmaaN se,
(meh’rbaaN : kind hearted)
ye nang ajiz  hai ek baar rakh kar,
uThaanaa sar kisii aastaaN se,
(aastaaN : entrance to a house)
visaal-e-jaavidaanii chaahtaa huuN,
magar vo zindagii laauuN kahaaN se
(visaal-e-jaavidaanii : eternal company)
unheN baatoN se jo be-taab kar de,
ilaahii vo zubaaN laauuN kahaaN se,
(be-taab : restless)
kareN kyaa un se izhaar-e-muhabbat,
vo sun leNge hamaare raazdaaN se.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 586