|
* Saans ukhri hui, sookhe hue lab kuchh bhi nahii *
Saans ukhri hui, sookhe hue lab kuchh bhi nahii
pyass ka naam hii raushan hai, bas ab kuchh bhi nahii
gule imkaan sar sabz koii nahii barge ummeed
yaani ab ke to saare shaakhtalab kuchh bhi nahii
subah tak phir bhii nahii bujhte hain aankhon ke chiraagh
jantaa hoo'n ke pase pardae shab, kuchh bhi nahii
be ta'alluq rahe barso'n to koii baat bhii thee
in dino tum se naa milne ka sabab kuchh bhi nahii
waz'a daari hii bikharne na hi detii '' Akhter"
warna ham toote hue logo'n mein ab kuchh bhi nahii
|
|