donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Uthkar chale ho jab kabhi tum hamaare pehloo se; *
Uthkar chale ho  jab kabhi tum hamaare pehloo se;
Dur ho gaya hai  dil   phir iss  jeene ki   aarzoo se;

Dard  ne asar chhod diya,aur hayaat muskuraa utthi,
Hue hain  rubaroo  jab hum  tumhari guftugoo se;

Manand-e-gul lehraa rahe hain zakhm shaakh-e-hayaat par,
Aao inhe mehkaa do tum apne badan ki khushboo se;

Baat chali to phir kitne hi raaz ayaan hote  gaye,
Sekdon fasaane nikle ek mukhtasar si guftugoo se;

Ahal-e-jahaan ne zulm kiya hume naam-e-sharaafat dekar,
Ek ghurbat ke siva kya paaya hai hum ne apni aabroo se;

Na shakl se na libaas se na dulat se na shurat se,
Taasir ne paayi hai pehchhan apni zabaan-e-urdoos se;
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338