donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zindagi jeene ka hoslaa kisi ka bhi kum-tar nahin hota; *
Zindagi jeene ka hoslaa kisi ka bhi kum-tar nahin hota;
yeh baat aur hai sab ka yahan achha muqaddar nahin hota;

kahin dhoop, kahin saya,kahin gham kahin khushi hai,
is duniya me kahin bhi  ek jaisa  manzar nahin hota;

sab ko raah-e-zindagi me tanha hi chalna padta hai,
taa-umarr sath nibha sake koi aisa hum-safar nahin hota;

khushi ke chand lamhe jaise raat bhar ka tassawur hai,
afsaana-e-gham lekin khatam umarr-bhar nahin hota:

Ek muddat se ek uljhan me hun,kisko tawajjo dun main;
bohot chaha samjhota zehan-o-dil me magar nahin hora: 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345