donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ko tumhare siva koi aarzu nahin hoti *
nazm
Dil ko tumhare siva koi aarzu nahin hoti

Tum sitaara ho meri aasmaan-e-zindagi ka;
Hai roshan tum hi se charaagh meri hasti ka;
Agar samandar hai yeh zist to tum mera safina ho,
Tumhare bin yeh zindagi goya shraadh ka mahina ho,
Tum umeed ka woh chaand ho jo udaas raaton mein dil mein nikalta hai;
Tumhari chehal pehal se is na-muraad zindagi ka karobaar chalta hai;
Aa jao ke bhatke hue ko sahaara dedo;
Meri dubti hui kashti ko kinaara dedo;
Bina kiye tumse guftugu meri raat nahin hoti;
Aur na dekhun tumhe to din ki shuruaat nahin hoti;
Ab kisi bhi kaam mein mera man nahin lagta hai;
Tumhari hijarr mein dil har ghadi sulagta hai;
Aur kya kahun mere  behte hue ashk ki qasam;
Tumhare gham me ghar ki har shae ho gai hai nam;
Na noor hai na rangat chehre, par chaai bad-hawaasi hai;
Jaise jate hi bahaar ke  chaman par cha jati udaasi hai;
Thukrao na ab ke hasti kuch roz ki mehmaan hai,
Anjaam pe haaye zindagi ki dastaan hai;
Yun to aur bhi hai zamaane mein qaabil-e-dosti magar
Kaaghzi phoolon mein khushbu nahin hoti,
Sach kahun to is dil ko tumare siva kisi aur ki aarzu nahin hoti
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395