|
* Yun to tanha hun magar phir bhi tanha nahin; *
Yun to tanha hun magar phir bhi tanha nahin;
Tere saath guzaare hue woh pal to hai;
Dil ko behlaane ko koi teri tasvir na sahi,
Tere husn pe likhi hui meri ghazal to hai;
main gham ko apne seene se lagaa leta hun,
Yeh soch kar mera phi koi paagal to hai;
Kitni dhoop hai zindagi ki viraan raahon me,
Shukr teri yaadon ka sar pe baadal to hai;
Mere chehre par udaasi adhuri hai to kya,
Meri aankh ka har aansu mukammal to hai;
Maine yeh soch kar apne qaatil ko baksh diya,
Hisaab ke waste qayaamat ka kal to hai; |
|