* Shab-e-zindagi ho chali intezaar-e-yaar khatam na hua; *
Shab-e-zindagi ho chali intezaar-e-yaar khatam na hua;
umeedon ko neend aa gai par junun tera kum na hua:
yun to mile the raah-e-zindagi me kai dost magar;
dum bhar ke liye bhi koi yahan hum-dum na hua;
mili yeh zindagi bhi to bus char din ke liye;
aur us par gham ke siva koi aur mausam na hua ;
mere hum-raah to bus ek mera saaya hi tha;
woh bhi chala aise ke mere hum qadam na hua;
hawaaon ke tarz par yeh shaakhon ka raqs;
kitne ujjad gaye nasheman koi maatam na hua:
"taasir" ki zindagi ki dastaan woh khud hi jane;
log to yeh samaje ke us par koi sitam na hua;
|