* Aaj phir dil kuch udaas udaas hai; *
Aaj phir dil kuch udaas udaas hai;
kuch to tanhai ka ho raha aehsaas hai;
din guzar jata hai umeedon ki rehbari me;
shaam se hi dil par chaa jati yaas hai;
mushkilon ne ghaarat kar di surat,warna;
pehan rakha hum ne to achaa libaas hai;
khushi ki guftugoo zara aahista kijiye;
kahin gham sun na le,yahin aas paas hai;
Aakhon ne baha diya hai aansoo ka dariya;
phir bhi khushk bohot zindagi ka gilaas hai;
usse bhool gaye hum,ab surat bhi yaad nahin;
kumbakht'TAASIR ko ab kis ke aane ki aas hai;
|