donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Taasir Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main phool hun mujhe tum phool ki tarah rehne do; *
Main phool hun mujhe tum phool ki tarah rehne do;
mujhe apni baat khushboo ki zubaan me kehne do;

mana ke kuch roz me murjha kar bhikar jaunga;
magar tab talak to mujhe apni shaakh pe rehne do;

main kaaton me pala hun phir bhi hasta raha hun;
mujhe zulf me na bandho mujhe kaaton me rehne do;

main chaman ki hun zinat aur gulchin ki bhi hasrat;
mujhe kiski hai tamanna yeh raaz parde me rehne do;

mujhe sar par na chadaao na mujhe qadmon pe dalo:
main apni jaga behtar hun mujhe apni jaga rehne do;
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337