donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Talat Ishrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil kee wahshat nay keya keya deray daalay chehron per, *
Dil kee wahshat nay keya keya deray daalay chehron per, 
bikhray rehtay hain jaisay jhaag umandtee lehron per. 
Dasht e tamanna mein jitna, aawazon kaa kaal para, 
Utnay chehray ug aaey ,goongay, banjar shehron per. 
Nashwo numaaey barg o bahaar, pesh e nazar ho yaa keh na ho, 
Ras boondein barsee to hain rookhay sookhay pehron per. 
Ghar kay sab baasee niklay, khaalee dil aur khaalee haath, 
Kis kay birtay daaloon mein, kachchee gaagar lehron per. 
Panghat kee dusrahat say itnee door na ja gori, 
Ghath lagaey tanhaaee aa baithee hay pehron per. 
Ishq kee aag mein jal jal ker dil to bantay hain kundan, 
murjha kar reh jaatay hain mausam phool say chehron per.
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347