donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Talat Ishrat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Habs itna hay keh sanson ko hawa kehtay hain log, *
Habs itna hay keh sanson ko hawa kehtay hain log, 
Loo agar chalnay lagay , baad e saba kehtay hain log. 
Dam badam barhtee huee tanhaaeyon kay daur mein, 
AArzoo e bazm e hastee ko khata kehtay hain log. 
Jab garaan honay lagay taar e nafas ehsaas per, 
Zindagee ko ishq, jeenay ko wafa kehtay hain log. 
Lazzat e khud aagahee hay sunnat e azm e Husain(alaihissalam), 
E\'etabar e zaat ko karb o bala kehtay hain log. 
Haath khaalee aur kuchch bhee kaasa e dil mein naheen, 
Dekhiye yeh bheid khulta hay to keya kehtay hain log. 
Maachison kee teelion say kheltay hain roz o shab, 
Aag lagtee hay to qismat ka likha kehtay hain log. 
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412