donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Virendra Rai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khoke pati satya ki seviyan jal gaeen. *
Khoke pati satya ki seviyan jal gaeen.
Pake pati kyon kaee ladkiyan jal gaeen.

Ghar mera jal gaya iska gham kuchh nahin,
Dekhiye apki ungliyan jal gaeen.

Shamma maine jalaee kabhi bazm me,
Dekh baghon ki sab titliyan jal gaeen.

Teri aankhon ki bijli me wo soz hai,
Aasmano ki sab bijliyan jal gaeen.

Aaj suraj ki garmi se par hi nahin,
Gidhnuma zahn ki putliyan jal gaeen.

Jyon hi patni ko maine lagaya gale,
Salhajen jal gaeen saaliyan jal gaeen.

Dil hai tuta 'Naya' jazbaye ishq me,
Hom karte hue ungliyan jal gaeen.

--- V. C. Rai 'Naya'
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 540