donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Main to nahin tha phir sar e bazaar kon tha *
GHAZAL

Main to nahin tha phir sar e bazaar kon tha
Jo kar raha tha bikne se inkar kon tha
Zar khaiz jangalon ki taraf ja rahe the log
Sookhi hui zameen ka wafa dar kon tha
Ab tak sunai deti hai jhankar si koi
Zindan se poochta hoon giraftar kon tha
Sooraj to maire ghar main raha qaid umr bhar
Sahraon ke badan pe sharar bar kon tha
Chahre pe maire dekh ke khushyon ki ik jhalak
Aaina poochta hai ke beemar kon tha
Maire liye hi bheji thi darya ne aik moj
Maire siwaye ret ki deewar kon tha
Simti hui thi maire hi andar to kaiynat
Hat kar mre wajood se aye yar kon tha
Jisne ghuroor e sham se subhen nikal leen
Be bazuon ka aisa alamdar kon tha
Bas ik hawa e dasht thi noha kunan e waqt
Sookhe huye darakht ka ghamkhar kon tha
Jis ko tamam umr na bhoola mra wajood
Guzri kahaniyon ka wo kirdar kon tha
Sone diya na mujh ko karahon ke shor ne
Kal rat maire gaon main beemar kon tha
Jisne tumhen tarash ke insane bana diya
Aye pattharon batao wo fankar kon tha.
(Wafa Naqvi)
Aligarh.
Mob:9219782014.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 820