* Wo Ajnabi bhi shnasa dikhai deta hai *
GHAZAL
Wo Ajnabi bhi shnasa dikhai deta hai
Usi se khwab ka rishta dikhai deta hai
Ghira hua hai sitaron ki bheed main laikin
Yeh chand phir bhi akela dikhai deta hai
Tumhara aks nikalta nahin hai aankhon se
Yeh phool aaj bhi taza dikhai deta hai
Suna hai koi kiran aagai hai dharti par
Udas raat ka khaima dikhai deta hai
Bus aik zid hai ana bar qarar rah jaye
Lahu lohan qabeela dikhai deta hai
Wo jis ko mar chuka hoon main muddaton pahle
Wo shakhs mujh main hi zinda dikhai deta hai
Usi se aati hai ik roshni mri janib
Qafas main aik jharoka dikhai deta hai
Kabhi chiragh ke aansoo kabhi wisal ki raat
Hawa ke shor main kya kya dikhai deta hai
Tre ghuroor ka qad itna badh gaya ke tujhe
Har aik shakhs hi bona dikhai deta hai
Yahan se jald guzar jao qahqahe lekar
Yeh aansuon ka ilaqa dikhai deta hai
Kabhi zameen pe utre to daikh lain hum bhi
Falak pai roz ujala dikhai deta hai
Main apne khoon ke qatre kahan kahan chidkoon
"Tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai"
(Wafa Naqvi)
|