donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Log kahte hain ke *
Khwab
……………………..
Log kahte hain
ke
main buht khamosh rahta hun
kabhi kisi se guftugu karta hi nahin
Shayad main apni
ana ke hisar main gum hun
laikin
aisa bilkul nahin
main bolta bhi hun
bat bhi karta hun
Magar
sirf or sirf apne khwabon se
Jo aik muddat se
mairi palkon se motiyon ki shakl main
Uljhe huye hain
main har subh
inhen
palkon se jhatak daita hun
inko hamaisha hamaisha ke liye khak main
chupa daita hun
Mot ki neend sula daita hun
magar
har rat jab siyahi ka nag
maire kamre ki roshni ko das laita hai
na jane yeh khwab
kahan se
phir se zinda ho jate hain
or mairi aankhon main ghar karlaite hain
phir dheere dheere dil main utar jate hain
or wahan ghar tameer kar laite hain
main kya karun kab tak khamosh rahun
kyun na logon se bataun ke mujhe
Bolna bhi aata hai
baten karna bhi aati hain
magar sirf apne khwabon se
jo har subh mairi palkon par jagmagate hain.
 
(Wafa Naqvi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351