donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* “Qur ‘aan Muhammad(S.A)hain to tafseer Hasan hain” *
“Qur ‘aan Muhammad(S.A)hain to tafseer Hasan hain”
Paighambar e Islam ki jageer Hasan hain
Qur ‘aan ke alfaz main Tatheer Hasan hain
Manzil ho koi leta hai imdad inhin se
Islam ke har khwab ki tabeer Hasan hain
Jo kufr ka sar kate sar e daman e Qirtas
Tahreer ke parde main who shamsheer Hasan hain
Dushman pai bhi ahsan rahe jin ke hamaisha
Akhlaq e Payambar ki woh tasweer Hasan hain
Karte hain Tawaf aaj bhi inka Mah o Khursheed
Zehra ke gharane ki who Tanweer Hasan hain
Ruswa tujhe dunya main koi kar nahin sakta
Aye Deen e Muhammad tri Toqeer Hasan hain
Islam ke Qil ‘ae ko agar kahte hain Shabbir
Islam ki bunyad ki tameer Hasan hain
Hain maire duaon main waseela yahi aksar
Har Manzil e Dushwar main Tadbeer Hasan hain
Imaan se kahta hoon ke imaan ke ghar ki
Bunyad Muhammad hain to Tameer Hasan hain
Dekho to kabhi padh ke zara Sulh ki sharten
Batil ke liye aahini zanjeer Hasan hain
Kahti hain zamane se yeh aayat e Ilahi
“Qur ‘aan Muhammad hain to tafseer Hasan hain”
Kaise na Wafa unka Qaseeda main likhoonga
Jab fikr ke aafaaq main tahreer Hasan hain
(Wafa Naqvi Aligarh India)
Mob:09219782014.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 511