donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Husn wala hai magar sahib e kirdar nahin *
Tarahi Ghazal

Husn wala hai magar sahib e kirdar nahin
Too koi aor hai shayad ke mra yaar nahin
Soochta hoon ke ise dil se laga kar rakkhoon
"Zindagi hai koi manga hua akhbar nahin"
Lazzat e ishq se hum dono hain waqif laikin
Mujhko inkar nahin hai tujhe iqrar nahin
Mujhko barbad zamane main kiya hai is ne
Phir bhi kahne ko tra husn gunehgar nahin
Hum use roz padha karte hain chup kar aksar
Jis kahani main kahin koi bhi kirdar nahin
Aye hawa koi bhi patta nahin girta tujh se
Aaj kya bat hai peron main jo raftar nahin
aik main tha so hua jata hoon nazr e sahra
Ab koi rah main hail mre deewar nahin
(Wafa Naqvi Aligarh)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345