donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karen woh kaise bhala unka samna aankhen *
Manqabat

Karen woh kaise bhala unka samna aankhen
Rahi hain hirs o hawas main jo mubtila aankhen
Tumhare roo e haseen par nigah karne ko
Kahan se layengi dunya main hosla aankhen
Saja raha hai tasawwur tumhare jalwon ko
Tumhin ko dekh rahi hain yeh ja ba ja aakhen
Nigah rukti nahin hai kisi ke chehre par
Azeez rakhti hain tumko hi ba khuda aankhen
Khuda kare na thaken hashr tak zamane main
Jo dekhti hain tumhara hi rasta aankhen
Jo tujhko khwahish e deedar e khuld ho jaye
Dayar e shah main le jana aye hawa ankhen
Siwa tumhare makin koi ho nahin sakta
Tumhari zat ka har dam hain aaina aankhen
Misal khuld e bareen bhi to la nahin sakti
Buht haseen hain mola ki ba khuda ankhen
Zaroor dard saha hai firaq e janan ka
Baha rahi hain jo ashqon ka silsila ankhen
Sitam ka daur hai jeena muhal hai mola
Tumhen talash rahi hain ye be nawa ankhen
Ba roz e hashr yaqeenan yeh muskurayen gi
Gham e Husain se rakhti hai wasta ankhen
Woh be hijab zamane main ab bhi hain mojood
Qusoor war hain apni aye wafa aankhen.
(Wafa Naqvi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361