donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankhon se khwab ban ke jigar main utar gaya *
Tarahi Ghazal

Aankhon se khwab ban ke jigar main utar gaya
Ik shakhs tha jo mujhko gunahgar kar gaya
Likkhi hai rukh pai saaf kahani wisal ki
Tera jamal jan e tammanna nikhar gaya
Ab isse badh ke jabr tabiat pai kuch nahin
Dekhe huye kisi ko zamana guzar gaya
ab doston ki bazm main lagta nahin hai khof
Nazuk sa dil fareb sa dushman kidhar gaya
Koi gulab khil na saka der tak kabhi
Jo shakh par bacha tha hawa se bikhar gaya
Mashhoor ho saka na zamane main uska nam
Kida kitab ka tha kitabon main mar gaya
Jab se mujhe fareb ka usne kiya shikar
"Maira azeez mairi nazar se utar gaya"
(Wafa Naqvi).
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440