* Baad muddat ke sahi lot ke ghar to aaya *
Tarahi Ghazal
Baad muddat ke sahi lot ke ghar to aaya
Sham ka bhatka hua leke sahar to aaya
Jashn sookhi hui dharti na manaye kaise
Boodhi shakon pai kahin koi samar to aaya
Dhoondte phirte the hum dasht ke matwale ko
Koi aaseb zada aaj nazar to aaya
Yeh alag baat ke main hi nahin saaye main gaya
Dhoop se mujhko bachane ko shajar to aaya
Maire ghar main bhi utar aye wafa ke saaye
Lo duaaon main mri aaj asar to aaya
lijiye khush hain buht apne hi ghar main ghut kar
"Humko is shahr main jeene ka hunar to aaya"
******* |