donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaise mumkin hai.... *
Kaise mumkin hai....
 
Tumko lagta hai tumhen bhool gaya hai koi
 
Aisa mumkin hai kabhi sochna tanhai main
 
Jisne chaha hai tumhen jan se badh kar apni
 
Jisne dekha hai tumhen khwab e junu main apne
 
Jisne samjha hai tumhen apne lahu ki khushbu
 
JIsne socha hai tumhen khud se zyada aksar
 
Jisne samjha hai tumhen apne lahu ki khushbu
 
Jisne socha hai tumhen khud se zyada aksar
 
Jis ne dekha na kabhi maslak o mazhab ka ghuroor
 
Jisne bas tumse muhabbat ka kiya hai wada
 
Jisne bas tumko banaya hai zamin par apna
 
Jisne bas tumse wafa dari nibahi janan
 
Jisne bas tumko tasawwur main lagaya dil se
 
Jisne bas tumko khayalon main chua hai aksar
 
Jisne bas tumko tamannaon ka markaz jana
 
Jisne bas tumse kiya ishq e bad anjam sanam
 
Jisne khoon apne iradon ka kiya hai manzoor
 
Pas rah kar bhi jo doori ka raha hai haami
 
Jisne khud apne hi haton se sajaya tumko
 
Apne dushman ki hi qurbat ke hawale karke
 
Sogaya hai jo koi aam bahana karke
 
Kaise mumkin hai bhula de woh tumhari hasti
 
Tum ghalat ho tumhen maloom nahin hai shayad
 
Aaj bhi rah tumhari woh taka karta hai
 
Tumko lagta hai tumhen bhool gaya hai koi
 
Aisa mumkin hai kabhi sochna tanhai main.
 
(Wafa Naqvi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378