donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wafa Naqvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi ke deeda e tar ko nazar main rakhte hain *
Ghazal
 
Kisi ke deeda e tar ko nazar main rakhte hain
 
Safar main khud ko magar dil ko ghar main rakhte hain
 
Palatna padta hai har sham in parindon ko
 
Na jane kaon si shai ko shajar main rakhte hain
 
Khuli fazaon ki wus'at woh kaise samjhenge
 
Jo qaid khwab ko deewar o dar main rakhte hain
 
Pukarte hain unhen unke ghar ke sannate
 
Wo apne aap ko kyun rahguzar main rakhte hain
 
Khuloos rakhte hain laikin jhuka nahin karte
 
Ana ka rang bhi thoda hunar main rakhte hain
 
(Wafa Naqvi)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358