|
* Sataa sataa ke hame.n ashk_baar karatii hai *
Sataa sataa ke hame.n ashk_baar karatii hai,
tumhaarii yaad bahut beqaraar karatii hai,
vo din jo saath guzaare the pyaar ke hamane,
talaash un ko nazar baar baar karatii hai,
gilaa nahii.n jo nasiibo.n ne kar diyaa hai judaa,
terii judaa_ii bhii ab ham ko pyaar karatii hai,
kinaare baiTh ke jis ke kiye the qaul-o-qaraar ,
nadii vo ab bhii teraa i.ntazaar karatii hai.
|
|