donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wali Aasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham jo din raat ye ‘atr-e-dil-o-jaaN khiiNchte haiN *
Ham jo din raat ye ‘atr-e-dil-o-jaaN khiiNchte haiN,
naf’aa kam karte haiN ai yaar ziyaaN khiiNchte haiN,
sochne ke liye mauzuu-e-suKhan ko’ii nahiiN,
subh se shaam talak sirf dhuaaN khiiNchte haiN,
maine muddat se ko’ii sach bhii nahiiN bolaa hai,
phir mujhe daar pe kyuN ahl-e-jahaaN khiiNchte haiN,
ab bhii rahte haiN bahut aise bahaadur jo yahaaN,
duudh piite hu’e bacchoN pe kamaaN khiiNchte haiN,
vo musaahib jo zubaaN kholte Darte the kabhii,
ab vahii mere buzurgoN kii zubaaN khiiNchte haiN,
(musaahib : companions, associaites; buzurg : elders)
mere qaatil mujhe pehchaan gaye haiN shaayad,
varnaa kyuN jism se yuuN nok-e-sanaaN khiiNchte haiN.
(nok-e-sanaaN : tip of the sword)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 873