donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wamiq jaunpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baRhey chalo- baRhey chalo *
baRhey chalo- baRhey chalo 
yahi nidaa-e-waqt hai 
yeH kaaynaat 
yeH zamiN 
nizam-e-shams ka nagiN 
yeH kahkashaaN saa rastaa   
issi peH gaamzan raho  
yeH teeragi to aarzi hai, mat Daro   
yahaaN sey door, 
kuchh parey peH subah ka muqaam hai 
salaa-e-bazm-e-aam hai 
qadam qadam peH iss qadar rukawaTeiN keH al-amaaN 
magar ajeeb shaan sey yeH karwaaN 
rawaaN rawaaN chala hi jaayega parey                                      
ufaq sey bhi parey kahiN 
tumharey naqsh-e-paa meiN zindagi ka raNg 
haNs rahaa hai taakeH pichhey 
aaney waaloN ko pataa yeH chal sakey 
keH iss taraf sey aik karwaaN guzar chuka hai kal 
aur apney jism-o-jaaN ko waqf kar chuka hai kal 
baRhey chalo- baRhey chalo 
________________________________________
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 339