donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MuskuraahaT ka daricha , jism se baahar khulay *
MuskuraahaT ka daricha , jism se baahar khulay
Par khalish ka dar hamaisha rooh kay andar khulay

Munkashif zarra ho kis par, kis pe behr-o-bar khulay
Kya khabar hay, kis nazar par, konsa manzar khulay

Baandh rakhaa hay junooN ko wehshatoN kay dasht main
Fikr kay kohsaar uR jaayeN …….agar Sar Sar khulay

KhwaahishoN ko paalnay main daalnaa! Par ik nazar
Daikh laina bain karti hasratoN kay sar khulay

Kahkashaan-e-aasmaan-e-dard-o-karb-o-raNj ka
Khaak kar de dehr ko … gar aik bhi aKhtar khulay

Tujh main hooN main, mujh main too hay, maiN nahiN hooN, too hi too
"Sochnay baiTha tujhay tau……. Kaisay kaisay dar khulay"

Baith kar farsh-e-falak par wus'atoN maiN ghoorna
Aur bhi aflaak dhooNday, yooN junooN kay par khulay

Waa nigaahi maiN na mairi soch par waa ho sakay
Wo sabhi asraar-e-hasti, khwaab kay aNdar khulay

Faisla dariyaa ka lehraiN hoN kinaara burd ab
Zakhm seenay jis tarah jarraaH ka nishtar khulay

WARD khulnay ki tag-o-dau maiN bikhar kay reh gya
Kis tarah saansoN maiN khushbu ka koi masdar khulay
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389