donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MERI AANKHO'N MEI'N AISE USKA CHEHRA SAANS LETA HAI *
MERI AANKHO'N MEI'N AISE USKA CHEHRA SAANS LETA HAI,
SAMUNDER MEI'N UTAR KAR JAISE DARIYA SAANS LETA HAI,
MERI TANHAAIYO'N MEI'N JO SHARIKE FIKR RAHTA HAI,
MERI GHAZLO'N MEI'N HAR PAL USKA LAHJAA SAANS LETA HAI,
NA CHHERHO IS KO RAHNE DO,MAGAN APNE TASAWWAR MEI'N,
YEH DIIWAANA ISI MEI'N LAMHA LAMHA SAANS LETA HAI,
ZARA SI DER THAHRO, TUND LAHRO, HAUSLA KARLO,
KISI KI YAAD MEI'N DOOBA KINAARA SAANS LETA HAI,
KISI BHI MORH PER RUKTA NAHI MANZIL SE PAHLE MAI'N,
MERE QADMO'N SE TO MANZIL KA RASTA SAANS LETA HAI,
KOI ANDAAZA US KE KARB KA, KAR HI NAHI SAKTA,
BA NOKE KHAAR JO, SHABNAM KA QATRAH SAANS LETA HAI,
JO MANZAR HAI PASE MANZAR ME'N BHI US KE KAHAANI HAI,
HAQIQAT KE LABADE ME'N FASAANA SAANS LETA HAI,
BARABAR DEKHTA RAHTA HAI MERI AANKH KI HAIRAT,
TAHIYYER KE FALAK PAR JO SITAARA SAANS LETA HAI,
KYA KARTA HOO'N MAI'N MAHSOOS LAMSE JAANE "WARD" US MEI'N,
MERE AANGAN MEI'N JO KHUSHBOO KA JHONKA SAANS LETA HAI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 341