donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne hi jism ka hissa mujeh samjha us ne *
Dard apnaaya kuch is dard se maira us ne
Apne hi jism ka hissa mujeh samjha us ne

Rait ki pyaas main khwaahish ka badan jalta tha
Aik sehra ko bna daala hay dariya us ne

DhaR… liye chaak se …. beshakl utar aaya main
Apne dil se liya gaaraa …….diya chehra us ne

Sirf Khaaka tha … adhoora sa …. Koi raNg na tha
MaiN mukammal huwa…. Jaise mujeh socha us ne

Rait ne qiad kiya tha mujhe taariki main
Aakhri the se samundar ki nikaala us ne

Baad-e-aawaara liye phirti thi hamraah mujhe
Misl-e-Khushbu mujhe aaNchal main samaiTa us ne

Soorat-e-barf ……BichaRne ka iraada, pighla
Ban kay ummid ka sooraj mujhe daikha us ne

Jo laboN tak nahiN aaya …. huwa eefa… wo bhi
MaiN jahaaN bhool gya …….ehd nibhaaya us ne

Bay’at-e-ishq se…. inkaar kahaaN tha mumkin
WARD ummid ka sehra maiN khilaaya us ne

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395