donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KaaNtoN ka jis tarah rahay phooloN se ikhtilaaf *
KaaNtoN ka jis tarah rahay phooloN se ikhtilaaf
Duniya ko yooN hay mairay asooloN se ikhtilaaf

Mujh se ulajh liya jo zamaana, tau kya huwa!
Hota rha hay is ka..... rasoolooN se ikhtilaaf

baaleedgi-e-fikr se khaaif haiN yooN bazurg
Jaisay karay wadaira sakooloN se ikhtilaaf

Ulfat ki sar zameeN pe adaawat ki aaNghiyaN
AayiN tau ham karaiN gay bagooloN se ikhtilaaf

Jo log bo rahay haiN sar-e-raah ....khaar aaj
Kal kistarah karaiN gay, babooloN se ikhtilaaf

Bachay Gharib ehd kay kitne ajab haiN WARD
Mehnat se dosti karaiN , jhooloN se ikhtilaaf
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378