donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj kay baed na maiN tujh ko bulaaooN ga kabhi *
KirchiaN
Aaj kay baed na maiN tujh ko bulaaooN ga kabhi
Tujh ko khwaaboN kay jaziray pe na laaooN ga kabhi
Tairi raahoN maiN nigaahaiN na bichaaooN ga kabhi
par ye batlaao zra
Kuch tau samjhaao zra
Warna ehsaas ki Daur aur ulajh jaaye gi
Daur suljhaao zra
Mairay bin aur bhi kitne hi haseeN chehray thay
Par faqat dheere se kiyuN mujh ko bulaaya tu ne
Mairay hoNtoN pe nya geet sajaaya tu ne
mairi aaNkhoN ko hasiN khwaab dikhaaya tu ne
Munfarid maiN hooN ! ye ehsaas jagaaya tu ne
Aur phir mujh ko kisi baNd gali maiN laa kar
Saath hi chauR diya
Maan hi tauR diya
ChauR kar mujh ko wohaaN laut gyi tu jaanaaN
Khwaab sab TooT gye
Qaafilay chooT gye
Tu sabaa kay kisi jhoNkay ki tarah aayi thi
MaiN ne baaNhoN maiN tujhay thaamnaa chaala laikin
Tu meri baaNhoN se katraa kay guzarti hi rahi
Tairay waedoN pe bharosa tau nahiN hay jaanaaN
Phir bhi iqraar karo
Aakhri baar karo
Gar kabhi tujh pe koi waqt kaThin aaya tau
Ik sadaa do gi mujhe
Aur phir khwaaboN ki in kirchioN par chaltay huway
MaiN chalaa aaooN ga aur saaya karooN ga tujh par
Aur jis waqt kaho gi keh chalay jaao tum !
KirchiyaaN aaNkhoN maiN le kar maiN chalaa jaaooN ga
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 431