donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ward Bazmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye maana ab haich ho chukay haiN *
HAICH 

Ye maana ab haich ho chukay haiN
Magar kabhi tau
Tumhaari sochoN
Tumhaare jazboN
Tumhaari aaNkhoN
Tumhaare dil maiN
Ham is tarah thay
Keh jaise khushbu gulaab maiN ho
Gulaab dil ki kitaab maiN ho
Magar wo khushbu
KhizaaN kay mosim maiN so gyi hay
Khunuk hawaaoN maiN kho gyi hay
Gulaab kay raNg reergi maiN bikhar chukay haiN
UdaasiyoN kay libaas pehno keh mar chukay haiN
Magar meri jaaN !
Har aik patti swaal ban kar ye poochti hay
Ye maana ham ne
Kitaab-e-dil ko
NahiN rahi ab zaroorat apni
Jo ho sake tau
hamaare sapnay
jo saare sapne
Tumhaari aaNkhoN se ham ne daikhay
Jo saare lamhay
Tumhaari yaadoN maiN haiN guzaare
Wo raat din jo
Tumhaari sochoN maiN haiN bitaaye
Wo aabginay
hamaari chaahat kay aabginay
Jo tum ne tauRay
Wo saare sapne
Wo saare lamhay
Wo raat din aur aabginay
Wo sab kay sab ham ko kar do wapis
Keh ham ne ab tak
Tha Jitna rona, so ro chukay haiN
Tha jo bhi khona, wo kho chukay haiN
Ye maana ! ab haich ho chukay haiN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 349