* Kahan Aa Gaye Hum *
Kahan Aa Gaye Hum
main jab salooton se ate dasht ko
paar karke
seye patharon se bane is makan ke
par asrar halqe mein pahuncha
to darne laga
khud se kahne laga
yeh makan meri sar hadd na ho
is ke andar khuda
jane kya ho
magar phir mujhe
mere piche lage
tand mana zur lamhon ke rele ne
dhakka diya
aur main aane vahid mein
taron ke gar daab ki
aankh mein ja gira
jo andar se khali thi
bahar bhi jiske
na gahra na jhili na sar hadd na deewar
kuch bhi nahin tha
bas eik khali qalib tha
eik kokha thi
jiske andar abhi
meri awaaz ke zakhm ne
apne lab kholkar
mujh se poocha nahin tha
kahan aa gaye ho |