donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wasim Barelvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de, *
Mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de,
magar diye kii tarah mujh ko mo’atbar kar de,
(muKhtasar : shorten; mo’atbar : trustworthy)
merii talaash ko be-naam-o-be-safar kar de,
maiN teraa raastaa chhoRuuN to dar-ba-dar kar de,
(be-naam-o-be-safar : without name and destination; dar-ba-dar : homeless)
judaaiiyoN kii ye raateN to kaaTnii hoNgii,
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasar kar de,
tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa huuN,
ke jaise bachaa kitaabeN idhar-udhar kar de.



 
Comments


Login

You are Visitor Number : 402