donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wasim Barelvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye Thakaraanaa zaruurii hai, *
Usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye Thakaraanaa zaruurii hai,
jo zindaa ho.n to phir zindaa nazar aanaa zaruurii hai,

[usuul = principles]

na_ii umro.n kii Khud_muKhtaariyo.n ko kaun samajhaaye,
kahaa.N se bach ke chalanaa hai kahaa.N jaanaa zaruurii hai,

thake haare parinde jab basere ke liye lauTe,
saliiqaamand shaaKho.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai,
,
bahut bebaak aa.Nkho.n me.n ta’alluq Tik nahii.n paataa,
muhabbat me.n kashish rakhane ko sharmaanaa zaruurii hai,

[bebaak = bold]

saliiqaa hii nahii.n shaayad use mahasuus karane kaa,
jo kahataa hai Khudaa hai to nazar aanaa zaruurii hai,

mere ho.nTho.n pe apanii pyaas rakh do aur phir socho,
ki is ke baad bhii duniyaa me.n kuchh paanaa zaruurii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 529