donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Wazir Agha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Din Dhal chuka tha aur parinda safar may tha *
Din Dhal chuka tha aur parinda safar may tha
Sara lahoo badan ka rawan Khisht o par may tha
Had e ufaq pe sham thi Khaime may muntazir
Ansu ka ek pahar sa hayal nazar may tha
Jate kahan ki rat ki bahain theen mushtayil
Chupate kahan k sara jahan apne ghar may tha
Lo wo bhi narm rait ke Teele may Dhal gaya
Kal tak jo ek koh e giran rahguzar may tha
Utra tha wahshi chiriyon ka lashkar zameen par
Phir ek bhi narm pat na sare shahar may tha
Pagal si ek sada kisi ujre makan may thi
Khirki may ek chirag bhari dopahar may tha
Us ka badan tha Khoon ki hiddat se sholafish
Sooraj ka ek gulab sa tisht e sahar may tha
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411