donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zafar Kaleem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Ghazal *
Tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Ghazal, 
log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal, 

pahalehaq thaa terii chaahat ke chaman par meraa, 
pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa, 
ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n, 
mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n, 
ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal, 

mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise, 
mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise, 
merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad, 
mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad, 
apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal, 

mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii, 
merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii, 
aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N, 
ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii, 
ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal. 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 731