|
* Ek musalsal azaab le jaanaa *
Ek musalsal azaab le jaanaa,
merii aaNkhoN ke Khvaab le jaanaa,
faasile jab fareb dene lageN,
qurbatoN ke saraab le jaanaa,
lauT aanaa kabhii jo mumkin ho,
aur yaadoN ke baab le jaanaa,
(baab : chapters)
is se pahle ke rut badal jaaye,
apne saare gulaab le jaanaa,
tishnagii, aas, tiirgii “Zahid”,
ko’ii to iztiraab le jaanaa.
|
|