donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Zakir Hussain Ziai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aor to kya muskil paish aati dunya ko samjhaney mein *
Aor to kya muskil paish aati dunya ko samjhaney mein
" main ney shayed deir laga dee khud sey bahar aaney mein".
 
saara shahar hee apney khadd o khaal uthaaey phirta hey
kis kis tasveer lagaoo'n main aaiinah khaney mein.
 
teri kahaani suntey suntey aisa manzar badla hey
mera bhi kirdaar nahien hey ab mairey afsaney mein.
 
jaaney apney ishq ko hazrat QAIS sey kaisee nisbat thee.
hum ney saari ummr ga"nwa dee uoo"n hee khaak urraney mein.
 
wahshat key is kheil sey aakir kis kis ko rokoo"n ga main
saara shahar hua hey shamil shahar ko aag lagaaney mein
 
tum jo ik luqma mujh ko khairaat mein dainey aaey ho.
haatho"n sey mahroom hua hoon main tou rizq kamaney mein.
 
UOO"N HEE TEIZ HAWA SEY YAARO BAAGH KI KHUSBU DARTI HEY.
KITNI DEIR LAGEY GEE AAKHIR PHOOL SEY DHOOL URRAANEY MEIN.
 
rosahaniuo"n ki khatir ab tu apney diyey sanbhaal key rakhh !.
main to aankheiy"n kho baitha hoon apney khwaab bachaney mein.
 
tujh sey miley baghair woh aakhir kaisey wapis aa jaaey.
jis ki saari ummr lagi ho tairee gali tak aaney mein.
 
ZAKIR HUSSAIN ZIAI
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358